Apnne Dil mein bhrastachar ya tamam buraiyon ke khilaaf,
mombattiyaan ya diya jalao...aag jalao,alakh jagao!!
aur inke khilaaf apne niiiji jeevan mein jung larro,
aander "roshni aur ujjala" ker, mann per chhaya aandhera hatao,
aankhe kholo aur dhyaan se soccho,
aanyaay,aanachar,durvichar,kuritiyon ke khilaf aandolon ka neev,
aapne hi aander,aur fhir ghar mein rakho...phir aage badhao!!
Gandhiji ne kaha tha-Bura mat dekho!!Bura mat suno!!Bura mat kaho!!!
Jeevan mein yeh jyoti jagao fhir jyoti se jyoti jagate chalo.
Inn sabhi buraiyon ko sakhti se na kaho.
iss shantipurn kranti ki shuruat aapne aapse,aapne ghar se,aas-paas se karo
duniya sunder ho jayeegi,kyonki "Boond-Boond se samudra bharta hai"
Aur gaoo-"humko iittni shakti dena,mann vijai kare,
doosron ke jai se pahle khuudd ko jai kare!!
(yanni aapni kamzoriyon ko pahlein jeetkar khatm karein)
VIBHA TAILANG
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment